Friday, January 09, 2009

arz hai...

Koi deewana kehta hai, koi pagal samajhta hai,
Magar dharti ki bechaini ko bas baadal samajhta hai,
Main tujhse door kaisa hoon, tu mujhse door kaisi hai,
Ye tera dil samajhta hai ya mera dil samajhta hai.....

Mohbbat ek ehsaason ki pawan si kahani hai,
Kabhi Kabira deewana tha, kabhi meera deewani hai,
Yahan sab log kehte hain meri aankhon main aasoon hain,J
o tu samjhe toh moti hain, jo na samjhe to paani hain.....

Bahut bikhra bahut toota thapede seh nahin paaya,
Hawaaon ke isharon par magar main beh nahin paaya,
Adhoora ansuna hi reh gaya yun pyar ka kissa,K
abhi tum sunn nahin paaye, kabhi main keh nahin paaya......

Bhramar koi kumudni par machal baitha to hungama,
Hamare dil main koi khwaab pal baitha to hungama,A
bhi tak doob ke sunte sab kissa mohhabat ka,
Main kis`sey ko haqeekat main, badal baitha to hungama......

Main uska hun woh ish ehsas se inkar karta hain,
Bhari mehfil mein bhi rusva har baar karta hain,
y`nki hain saari duniya ko, khaffa hain humsey woh leikin,
Mujhe maaloom hain phir bhi mujhi`sey pyaar karta hain.....

Main jabbhi tez chalta hun nazare choot jate hain,
Koi jab roop gah`dta hun to saa`nche toot jate hain,
Main rootha hun toh aakar log kandha thap thapate hain,
Main hasta hun toh mujhse log aksar rooth jate hain…...

Samandar peer ka andar hai lekin roo nahi sakta,
Ye ansoo pyar ka moti hai isko kho nahi sakta,
Meri chahat ko tu apna bana lena magar sunle,
Jo mere ho nahi paya woh tera ho nahi sakta....

Koi deewana kehta hai, koi pagal samajhta hai,
Magar dharti ki bechaini ko bas baadal samajhta hai,
Main tujhse door kaisa hoon, tu mujhse door kaisi hai,
Ye tera dil samajhta hai ya mera dil samajhta hai

No comments: